Dillee ki sardi

Nmaskar doston!!
aaj se Desember ka mahina shuru ho gaya hai or sardi bhi apna rang dikhane lagi hai, aise me yaad aati hai 'Dillee ki sardi'. pichle dino kuch logon ne Mumbai hadse me apno ko khoya hai hum unke sath hain,unke dukh,dard ko samajhte hain,Eshwar unhen shanti or dherrya pradan kare or is apaar kasht ko sahne ki himmat de.Main aapko batana chahata hoon kal se main phir apne shahar Mathura ke bare me kuch or durlabh jankariyan uplabdh karaoonga.ab kuch aapke liye jo mere pita(father late sh.G.P.Saxena ji) ne likha tha. zara gour farmaiyega--
" Ek din main nadi kinare khada tha,
socha kash main nadi hota,
zyada nahin dost! kum se kum,
main dariya dill hi hota.
(Late sh.G.P.Saxena)
kal fir mukalat hogi,
Shikhar Akash
Editor-SamaySapeksh
Dated-1Dec.2008
Time-6.45am

टिप्पणियाँ

लोकप्रिय पोस्ट