Ab bahut ho chuke bahane par bahane.....

Nmaskar doston!!
kal Sheela dixit ji teesri bar delhi ki CM bani hain jo vakai badhai ki hi patra hain, dillee walon ne un par yadi wishvas vyakt kiya hai to iska matlab ek dum saaf hai ki un ke dwara delhi me karaye gaye vikas karya hi unko dobara CM banwaane ke liye kafi hain,or delhi me vikas saaf dikhai de raha hai.to Sheela ji swayam prashnsa ki patra hain.
kaha jata hai ke 'kiya gaya kaam dikhai dene lagta hai ' yahi hall delli me hai yahan kori bakwas nahin hai. janta ko baaten nahin vikas chahiye, yeh baat is desh ke neta kyon nahin samjh rahe hain , ab janta se vote lena itna aasan nahin raha , ye baat ab to gale utar leni chahiye or sabak lena chahiye. is desh ke netaon ke liye
arz kiya hai--
"ke kuch to aisa karo jo janta tumhen pahchane,
ab to bahut ho chuke bhai bahane par bahane."
ShikharAkash
Editor-SamaySapeksh
Dated-18,Dec.2008
Time-8.15am

टिप्पणियाँ

लोकप्रिय पोस्ट