Bharat ek tha, ek rahega

Nmaskar doston!!
bahut dino se ek bat dil me thi.woh ap se shere karna chahta hoon. mere father ki bahut ichcha thi ki unhen bhi log padhen or apne vichar prakat karen kintu unki yeh ichcha man me hi dabi rah gayi or wo is duniya ko alvida kah gaye lekin main unki rachanyen logon tak pahuchaunga or unki ichcha ko poora karoonga. aaj aap ko unki ek or rachna sunata hoon. aaj ke halat ko deh kar-arz kiya hai---
"Khuda ko zamin par nahin zami me utaro,
Bharat ek tha,ek rahega,ise jahan me utaro.
julm mat karo, julm karne walon ko lataro.
apne watan ki aabru ko tum khud sambhlo,
tum gandi siyasat karne walon ko pahchano,
gar ho sake to tum abhi inke hont see daalo".
(Late sh.G.P.Saxena)
Aaiye ab chalte hain phir braj ki or-Mathura ka 'Holi gate' english govarnor "Holi Harding" ke naam par hai, jise Holi Harding ne he banwaya tha. aaj atikaraman ke karan is ki khoobsurti kum ho rahi hai,
Aaj itana hi,kal phir mulaqat hogi.
ShikharAkash
Editor-SamaySapeksh
Dated-4.Dec.2008
Time-6.55am

टिप्पणियाँ

लोकप्रिय पोस्ट