Had ho chuki hai bhai (DwarikadhishMandirMathura)

Nmaskar doston!! Jay shri Raja dhiraj ki,
aaj apko ek kadvi sachchai batata hoon, gat dino mathura ke Dwrikadhish mandir me 18,Nov. ko vishal chappan bhog ka ayojan kiya gaya tha jisme poora mathura shahar umar pada tha or bahar se bhi bahut se log aaye.
Chappan bhog ki parampara rahi hai ke is chappan bhog ka prasad sabhi ko nishulk banta jata hai, kintu mandir ke parbandhan ne is divya prasad se paisa kamaya to logon me khalbali machi or charchaon ka bazar garam hua, natija ye hua ke log is prasad se mahroom rah gaye or apna man masos kar dukhi hokar chale gaye.jin logon ne paise dekar prasad kharida wo hi log prasad ko paa sake, phir bhi poora prasad vitrit nahin ho saka, isi leye is banta jata hai,taki log grahan kar saken or prafullit hon.yehi parampara rahi hai.
hud tab ho gayi jab lagbhag mahina beetne ko aaya or yeh divya prasad sadne laga or is me se gandh aane lagi to mandir prabandhan ne isko muft bantne ki sochi or apna pind chudane ki koshish ki or isi ke tahat ye prasad logon me bade ahsaano se banta gaya jo poori tarah kharab ho chuka tha.jin logon ne is chappan bhog ke prasad ko liya or chakha un logon bataya ke yeh ab khane layak nahin raha hai isi liye free me banta jaa raha hai, is prasad ko khakar yadi log bimar ho gaye to iska jimmedar koun hoga? hai koi jawab?
Is poore mamle ke gambheerta se janch honi chaiye or is naye chlan ko rokna chhiye,is tarah ki anetik gatividhiyon se Dwarikadhish mandir ki chavi dhomil hoti hai or mandri prabandhan chand paison ki khatir is vishwa prasiddh mandir ki garima ko nuksan pahucha raha hai.
kal phir mulaqat hogi,
ShikharAkash,
Editor-SamaySapeksh
Dated-11,Dec.2008
Time-700am

टिप्पणियाँ

लोकप्रिय पोस्ट