Mera shahar Mathura(2)

Nmaskar doston!!
Kaise hain aap? dino din sardi tez ho rahi hai, waise sardi ka apna alag hi anand hai. apne wade ke anusar aap ko Mathura ke bare main kuch or durlabh jankari muhaiya karata hoon.--
Mathura ka vishram ghaat waise to isliye prasiddh hai ke yahan par bhgwan shri krishna ne kans ko mar kar kuch der vishram kiya tha,kintu ek or baat hai jo main aapko bata raha hoon woh yeh ki jab bhagwan shri krishna mathura se jaa rehe to braj wasion ne unhen jaane se roka or kaha ki bhagwan yadi aap jaa hi rahen hain to humen ye BANSI(bansuri)hi dete jaiye,tab murli manohar ne apni priy bansuri yahan vishram ghaat par braj wasion ko di thi jo aaj bhi vishram ghaat par jo Mandal hai usmen rakhi hai batai jati hai,yeh yahan ke chaturvedi samaj ka kahna hai.
bus aaj itna hi, kal phir mulakat hogi.
ShikharAkash
editor-SamaySapeksh
Dated-2.Dec.2008
Time-6.55am

टिप्पणियाँ

लोकप्रिय पोस्ट