Pakistan nasoor bana.....

Namskar doston!!
Kabhi kabhi humari hi soch dukh ka karan ban jati hai, jo humko hi pareshan karti hai,kintu us samay hum yeh bhool jate hin ki hum kya kar rahe hain, aaj lagbhag yahi haal har aadmi ka hai jo bina vichar kiye koi bhi kadam utha leta hai or baad me pachtata hai. in dino desh ke jo halat hian woh kuch isi tarah ke hi hain,
Bharat ki purani soch bar bar Pakistan ko maaf karne ki aaj mahngi pad rahi hai or Pak ab nasoor ban chuka hai. yeh humari hi dariyadili ka he parinaam hai.
arz kiya hai--"ki hum sochte the ki tum badloge,
par tumne apni oukaat dikha hi di.
apni nazar me tum sahi hua karo,
tumne apne pair me kulhadi maar hi li
chalo ab tum barbaad hua karo,
hum to aabad hi raha karenge."
kal phir mulaqat hogi,
ShikharAkash,
Editor-SamaySapeksh.
Dated-28,Dec.2008
Time-5.55am

टिप्पणियाँ

लोकप्रिय पोस्ट