Late sh.G.P.Saxena ji ki kavita.....

Suprabhat!!
Aaj apko apne Late father sri G.P.Saxena ji ki kavita lihk raha hoon----------
"" Ise tum kya kahoge""
mout par bhi jo ro na sake, gire hue ko na de sahara,
ise tum kya kahoge.
jo tarsaye,sataye or tumhare kaam na aye
ise tum kya kahoge.
jo deen-duhki ok dekh band kare apna darwaza,
ise tum kya kahoge.
jo sach ko jhooth or jhooth ko sach batlaye
ise tum kya kahoge.
jo seedhe ki roti cheene or sachche ko dhamkaye,
ise tum kya kahoge.
jo tum se apna kaam kara kar mare laat tumhi ko,
ise tum kya kahoge
jo rah-rah kar tumhen sataye, nit ansoo girwaye,
ise tum kya kahoge.
(bataiyega aap sabhi ko kaisi lagi yeh rachna)
ShikharAkash
Editor-SamaySapeksh
Dated-20, jan.2009
Time-6am.

टिप्पणियाँ

लोकप्रिय पोस्ट