Mujhe aawaz aati hai !!

Namaskar doston!!
Eshwar ka bhi jawab nahi,woh humara or aapka hum se zyada dhyan rakhta hai. mene aksar yeh mahsoos kiya hai, jab bhi me bhagwan se apne dil ki bat kahata hoon to wah poori hoti hai, tab mujh aawaz aati hai ke mujh par bharosa hai naa!! to aksar me apni pareshani bhgwan ko bata diya karta hoon or batata rahoonga.Awtar film ka gana to yaad hoga naa---
"uopar wale tera zawab nahin,
kab de kya de hisaab nahin,
teri meherbaniyon ka zawab nahin,
uopar wale tera zawab nahin,
kab de kya de hisaab nahin."
yeh sub aapne kisi na kisi roop me mahsoos zaroor kiya hoga.
ShikharAkash
Editor-SamaySapeksh
Dated-11, Jan.2009
Time-5.46am

टिप्पणियाँ

लोकप्रिय पोस्ट