bahut muddaton ke bad yeh din aya hai.

khuda-khuda kar ke apko paya hai,
bahut muddaton ke bad yeh din aya hai.

uska hansi chand kare roshan is ghar ko,
uski muskano se yeh gha bhar aya hai.

veeran thi yeh mahfil sanam tere bagair,
teri mouzoodagi ne yeh karam farmaya hai.

kaise karen shukriya hum aaj unka-a-'akash',
alfaz to hain magar juban ne sitam dhaya hai.

khuda-khuda kar ke apko paya hai,
bahut muddaton ke bad yeh din aya hai.
ShikharAkash

टिप्पणियाँ

लोकप्रिय पोस्ट