Importent:Yeh dharti ab badhata hua bojh nahi sah pa rahi hai usi par ek kavita aap sabhi ke liye---- dhyan dijiyega:-
He vasundhra!!
tharo, mai tum se
milna chahata hoon.
poochna chahata hoon,
tum kaise sahati ho,
is kadar badhata bojh.
He vasundhra!!
batao kya tumhare,
kandhe nahi dukhte?
is apar bojh ko sahate,
jo din rat bad raha hai.
He vasundhra!!
mujhe batati jao,
apne man ki vyatha,
mujhe sunati jao
kya dil me hai tumhare,
woh ansuni si katha.
He vasundhra!!
kuch to bolo,
kuch to kaho,
sun na hi chahte ho,
to suno pathik------
tuchch manav ki badhti
sankhya bojh nahi,
us ke dushkarmo
ka bojh ab saha nahi jata,
woh karm bura karta hai
nit naye pap karta hai,
mere hi seene par
manav ke papon ka bojh,
ab saha nahi jata,
meri shamta ko
mat aanko manav,
mera santulan
mat bigado manav,
yahi tumhare
vinash ka karan hoga,
isi me manav ka
subse bada hath hoga,
mujhe khokhla kar ke tum,
khud ko mita rahe ho,
mere hi seene par
nit naye ghav,
kiye jaa rahe ho?
kahate ho mujhe tum,
vasundhara or tum mera hi
astitiva mita rahe ho?
mrea seena cheer kar,
apni vijay pataka
fahara rahe ho?
yahi hai shashwat sachchai,
manav ne khud hi,
khod li hai apne
liye yah khaai.
ShikharAkash

टिप्पणियाँ

लोकप्रिय पोस्ट