GAHZAL FOR YOU
Muje payar karne wale kya hua tujhe bata,
itna bata de mujh ko kya hai meri khata.

is dil ko tod kar kyun tanha hume kiya,
maar dalegi jaanam hume teri yeh ada.

kyun mitaye the tune do dilon ke fasle,
kyun aaj tune hum se yun fasla kiya.

tu hai meri muhabbat tu hai yeh janta,
tu aarzoo hai meri tu hai mera khuda.

bahut tanha ho gaye hain hum 'akash',
un se pyar karne ka tohfa jo hume mila.

Muje payar karne wale kya hua tujhe bata,
itna bata de mujh ko kya hai meri khata.
ShikharAkash

टिप्पणियाँ

लोकप्रिय पोस्ट